2 thoughts on “huzur tajushsharia ki naatiya shaeri”

  1. Basti Basti Kariya Kariya Taajushshariah Taajushshariah,
    Lagta Kitna pyaara hy ye Naara taajushshariah ka.

    Sar pe amama bandhe hue chehre pe dadhi sajaye hue,
    pyaara pyaara lagta hy chehra taajushshariah ka.

    Azhari hy laqab unka aur taajushshariah bhi,
    saari duniya me hota hy charcha taajushshariah ka.

    Fatwa unka hy bemisaal taqwe ki koi baat nahi,
    ye hyn unka zinda karamath mere taajushshariah ka.

    Jaanasheene muftie aazam qaaziul quzzaath hyn ye,
    rab ne kitna ooncha rakha martaba taajushshariah ka.

    Faize raza ka aur murshid ka hardam jaari unpar rahega,
    thaam liya hy jisne daaman mere taajushshariah ka.

    Dhoondta rehjayega naasir pata chala na aysa murshid,
    apna sab kuch sounp diya hy banda taajushshariah ka.

Leave a reply to nasir ali razvi Cancel reply